Mere Wajood Ki Mujh Mein Talash Chor Gaya
Mere Wajood Ki Mujh Mein Talash Chor Gaya
Jo Pori Na Ho Kabhi Aisi Aaas Chor Gaya
Yehi Karam Nawazi US Ki Mujh Pe Kam Hai Kia
Ka Khud To Door Hai Yadein To Pas Chor Gaya
Jo Khawhishen Thi Kabhi Hasraton Mein Dhal Gayi Ab
Mere Laboon Pe Wo Eik Lafz Kash Chor Gaya
Ye Mera Zarf Hai Ik Roz US Ne Mujh Se Kaha
Ka Aam Logon Mein Eik Tujh Ko Khas Chor Gaya
Baharon Se Mujhy Isi Liye To Nafrat Hai
Inhi Ruton Mein Mujhe WO Udass Chor Gaya
kabhee gulzaar say,
kabhee gulzaar say,
kabhee bezaar say,
kabhee khushee humaray saath saath,
kabhee ghumon kee barsaat say,
kabhee toofaan mein bhee hain raastay,
kabhee manzilon kaa pataa nahee,
kabhee doo kadam pay zindagee,
kabhee saddeeon tak inteezaar say,
kabhee her pal imteehaan hey ,
kabhee bin maangay inaam say
bichar k tuj say bohat malal howa jana
bichar k tuj say bohat malal howa jana
mat poch dill ka keya hall howa jana
jis rukh say sochoon to hi thara mawer
had-e-khayal tak tayra hi khayal howa jana
oroj bakhsha tha jin ko tayray sath nay
phir onhe lamhaat pay zwal howa jana
tab to bari khoshi say zindgi katti thi rahil
aa! ab tojena bara mohal howa jana
Apnay asool youn b kabhi torney paray,
Apnay asool youn b kabhi torney paray,
us ki khata thi haath mjhe jorney parey,
Aya na jab qarar Dil-e-Beqarar ko,
Yaadon k rukh tumhari taraf mornay paray,
Us ko tu meri yaad b aai na aik din,
Apnay Paraye jis k leye chorne parey,
Aey DIL wo shaks khud bara bey‘asool tha,
Apne asool jis k leye humain torne parey
Be-karaan tanhaaiyun ka silsila reh jaayega
Be-karaan tanhaaiyun ka silsila reh jaayega
Terey merey darmiyaan bas ek khalaa reh jaayega
Aks beh jaayenge saarey dhoop ke sailaab mein
Aur koye paaniyoun mein jhaankta reh jaayega
Mujhko merey humsafar, aisa safar darpesh hai
Raasta kat bhi gaya tou faasila reh jaayega
Laug so jaayenge khaamushi ki chadar odh ker
Chaand sooney aanganoun mein jaagta reh jaayega
Buhat Ummeed rakhna aur Phir Bay-aas hona bhe!
Buhat Ummeed rakhna aur Phir Bay-aas hona bhe!
Bashar ko Maar deta hay buhat Hassas hona bhe!
Suno ik Kaan say aur dusray say Phenk do baahar,
Buhat Takleef-deh hay Sahib-e-Ehsaas hona bhe!
Yunhi tu Abr-e-Rehmat ke Talab karta nahen koi,
Zaruri hay muqaddar men Zara se Pyaas hona bhe!
Buhat say Qalb Ruk jatay hen Khusheyon ke Khabar pa kr,
Hamen tu Khoob Jachta hay Ghamon ka Raas hona bhe.
koi kissa koi afsana sunate jate
koi kissa koi afsana sunate jate
mere mazi se mujhe aaj milate jate
dil ka murjhaya hua phool khilate jate
yaad guzre huye mausam ki dilate jate
aap ki raah mein mai bhi to pada rahta hooN
EK nazar dekh liya kijiye aate jate
aap ne mashk-e-sitam chod diya kyu nahak
kaun si baat thi ham jaan se jate jate
mujhse ye daag-e-judayi na gawara hoga
ho sake to mujhe patthar ka banate jate
unse kah do ke bahaar aa gayi wo bhi aa ke
khaak gulrez ki gulshan mein udate jate
KhizaN ke rang mein bhi bahaar abhi baqi hai
KhizaN ke rang mein bhi bahaar abhi baqi hai
Chirag-e-sahar hai par intazar abhi baqi hai
HameiN salam karo aye hawaadis-e-dauraN
Tumhaare saath hain phir bhi qarar abhi baaqi hai
Guzar chuka hai ummidoN ka qafla kab ka
Rah-e-yaqin per ab bhi ghubar abhi baqi hai
Hamein pukaar lo jab chaho ham milenge wanhi
Mile hain Khaak mein lekin Waqar abhi baqi hai
Qissa Abhi Hijaab Se Aagay Nahin Barha
Qissa Abhi Hijaab Se Aagay Nahin Barha
Main ‘Aap’, Woh ‘Janab’ Se Aagay Nahin Barha
Muddat Hui Kitaab-E-Mohabbat Shuroo Kiay
Lekin Main Pehlay Baab Se Aagay Nahin Barha
Lambee MusaafataiN Hain, Magar Iss Sawaar Ka
PaaoN Abhi Raqaab Se Aagay Nahin Barha
LogoN Ne Sang-O-Khisht Kay Qal’ay Bana Liay
Apna Mehel To Khawab Say Aagay Nahin Barha
Tool-E-Kalaam Kay Liay Main Ne Kiay Sawaal
Woh Mukhtasar Jawab Se Aagay Nahin Barha
Meri aankhon se kabhi utro dil mein,
Meri aankhon se kabhi utro dil mein,
K main dharkan mein basa lun tumko,
Jaan se bi barh kr chahun tumhen,
Apni zindgi hi bana lun tumko,
Mere khuwabon mein sirf tum hi baso,
Apni neendon mein saja lun tum ko,
Logon ki bheer mein kho na jana kahin,
Zamane se hi chalo main chura lun tum ko,
Meri tanhai ko zaroorat hai tumhari,
Aagar ijazat ho to upna h bnalu tumko..!